AAj ka bazaar chahe jitana globalized ya fir khula kyu na ho jsye lekin sach to ye h ki bazaar pr sirf or sirf sattadhariyon ka hi kabza h... aj bazar me keval vahi munafa kama skta h jiski satta ke sath sathh-ganth hogi or dekha jaye to media ki b halat kuch iss prakar ki ho chuki h....kuch media houson ka raton raat bade ho jana is baat ka prateek h ki unki sattadhariyon ke sath jugalbandi h...vakt bhaley hi D.T.H ka ho lekin ek bada tabka aj bhi cabal netawork se juda hua h...or dekha jaye to pratyek rajya me aaj cabal par sattadhariyon ke dal k bade netaona ka kabza dekhne ko mil jata h...6ani ki jo log pehle chanel walon se guhar lgate nazar ate the ki unke khilaaf koi news na dikhaen wo ab rutbe ke sath khte h ki "TUMHE JO DIKHANA H WO DIKHAO, LEKIN ESI KHABREN HUMARE RAJYE ME DIKHENGI HI NAHI....KYONKI HUM CABLE PAR CHALNE HI NAHI DENGEY".
Aj kisi bhi rastriye ahannel ko desh bhar me dikhane ke liye kam se kam 40 crore ka bada budget chahiye....tabhi ki naya chanel ejad ho paega....zahir si baat h ki ye rakam safed to kisi bhi keemat pr ho nahi sakti h..... aaj chanel, vigyapan,brand or dhandha ek dusre k paryayvachi ho chuke h....or TRP ko inka samanarthi mana ja skta h....kyoki mahatvapurna fact to ye h ki---cable network ko chhanel ki TRP se joda jata h....or TRP ke aadhar par hi igyapan miltey h....khair ye baat to sarvjanik hi h......lekin yahin se brand okr dhande ka khel shuru ho jata h....yani ki jahir si baat h ki vigyapan or cable ko iss prakaar joda gya h ki jahan ek or karodo lutaye jatey h vahi doosri or arbon kamae bhi jatey h.
Media parto shuru se hi satta ka shikanja raha h...fir chahe vo kroorta poorvak ho, kootntik tareekey se ho or chahe aj ki tarah zabaran ho.....yani k media kitna hi uncha na udd le ....uski dorr to sattadhariyon ke hathon mey hi rahegi!!!!!!!!!!
1 comment:
league se hat k socha hai likne ki...vry nice
Post a Comment